Android phone me aap intenet ka use zarur karte
honge, aise me apke smartphone me Antivirus app ka
hona bahot Zaruri hai, To isake liye Google play store par
bahot sare antivirus available hai Jisame bahot sare paid
apps and kuch free antivirus bhi hai, Jise aap download
karke apne smartphone ki security ko increase kar sakte
hai, To hum apko 2017 ke aise Top 5 Android Antivirus
Apps ke bare me batane ja rahe hai Jo apke phone ko
Hacker, Virus and malicious attack se bacha kar best
security provide karenge. Android user ka common
question ye hai ki Best android antivirus apps konse hai?
and phone me virus hai to Mobile se virus kaise nikale?
To chaliye Android ke best security apps ke bare me
details se jante hai..⇦
@[1475641839387261:1:
Top 5 Android Antivirus Apps 2017
360 Security Antivirus Boost
Price Free]
360 Security App Play store par sabse Zyada popular app
hai Jise 100 million sebhi Zyada people ne download and
install kiya hai, Ye antivirus app me bahot sare features
diye gaye hai Jaise ki Malware scan jo apke device ke all
file ko scan karta hai, Apps and games ka full scan, Real-
time protection feature, Anti-theft feature etc.
Isake alava is app me in built Cleaner and Booster diya
gaya hai Jisase aap Application ka cache and Junk file
clean kar sakte hai. Isame App lock ka feature bhi
available hai Jo is app ka sabse best feature hai, Jisaki
help se aap kisibhi app ke liye password set kar sakte hai,
jisase aapki security increase hoti hai.
Ye aap background apps, storage, battery and all files ko
optimize karta hai, Ye app apke phone se Adware,
malware and virus ko scan karke remove kar deta hai.
Agar apka phone chori hojata hai ya by mistake gum ho
jata hai to aap Anti-theft feature ki help se aap apne
phone ki location trace kar sakte hai and remotly ise erase
bhi kar sakte hai.
@[1475641839387261:1:
Kaspersky Antivirus ]
Kaspersky Internet Security App ek best solution hai Jo
apke phone ko Virus, Spyware and Trojan jaise attack se
safe rakhata hai and best security provide karta hai,
Kaspersky fake or malicious link ko block kar deta hai
jisase aap safely web browsing kar sakte hai. Ye app apke
personal data ko secured rakhata hai aur apko phishing
attack se security provide karta hai,
Ye App apke phone ko full scan karke virus or Trojan ko
delete kar deta hai, ye App Paid or Free dono tarah ki
service provide karta hai, isake paid version me apko
Real-time protection, anti-phishing, cloud protection, and
anti-theft jaise kuch extra feature dekhne ko milenge.
jisase apke phone ki security bahot badh jayegi.
Kaspersky App popular Antivirus maise ek hai jo apke
phone ko best security provide karta hai. Aap chahe to
isaka free version bhi try kar sakte hai.
@[1475641839387261:1:
AVG FREE AntiVirus]
AVG Antivirus Security ek bahot hi famous Android
antivirus App hai Jo bahot years se computer par bhi
antivirus security provide karta hai. AVG App ko 100
million se bhi zyada logo ne download or install kiya hai,
AVG apke Android phone ko Virus, Malware or Spyware
jaise attack se safety provide karta hai.
AVG Antivirus App me apko Real-time protection, device
scanning, antivirus database updates, task killer and anti-
theft jaise feature provide karta hai. Isake alava Ye apke
device ki battery, storage, and data usage ko Monitor
karne kabhi option deta hai jisase aap apne device ko fully
control kar sakte hai.
Isame apko kuch paid feature bhi provide kiye jate hai,
Jaise ki App locking, call and message blocking jisase
aap apne device ka personal data safe kar sakte hai. Ye
App apke phone se Virus or Spam ko easily remove kar
deta hai. To AVG apke phone ki security ke liye ek best
option ho sakta hai, Aap chahe to isako ek baar try kar
sakte hai.
@[1475641839387261:1:
Avast AntiVirus]
Avast Antivirus ka naam to apne suna hi hoga kyu ki ye
PC antivirus market me bahot hi popular hai. Ye App apko
har tarah ki security provide karta hai. Ye Free or Paid
dono version me available hai. Ye App apko Real-time
protection, device or App scanning, antivirus database
updates and anti-theft jaise feature provide karta hai.
Agar App Pro version ka use karte hai to apko isake alava
bhi bahot sare extra feature milte hai Jaise ki remote data
recovery, remote SMS, geo-fencing, ad detection, and app
locking. Ye App bahot hi trusted Security App hai. Ye App
apko Charging booster, WiFi security scan, Firewall, Junk
Cleaner, RAM Boost jaise feature bhi provide karta hai. Ye
App bhi Play Store ke Famous Apps maise ek hai Jisako
100 million sebhi jyada Download or install kar chuke hai.
@[1475641839387261:1:
McAfee Security ]
McAfee Antivirus App sabse best and famous Android
security App hai. Ye App apke phone ko Trojan, Spam,
Virus, Spyware, malware jaise risk se security provide
karta hai. Ye Free or Paid dono tarah ki service provide
karta hai.
Ye App apko Antitheft, Find Device, App Privacy
Protection, Antivirus, Performance Optimization jaise
features provide karta hai, isake alava apko App Lock &
Protection, Call Blocker and SMS Filter, Memory Cleanup &
Battery Optimizer, Web protection & Wi-Fi Security jaise
extra feature provide karta hai. Agar aap Paid version use
karte hai to apko Phone Support, Media Upload and Ad
Free app ka feature bhi milega.
McAfee Antivirus App apke phone ke liye complete
security protection provide karta hai Jisase Apka phone
Virus, Trojan and Phishing attack se safe and secured ho
jaya hai. Aap ek baar is App ko try kar sakte hai...
Post A Comment: