Aaj ke is post me hum simply 2 method par baat
karenge jinki help se hum apne smartphone ko unoot kar
sakte hai aur wo bhi bari asani se.Agar aapke liye koi ek
method kaam na kare to aap dusra method try kar sakte
hai aur agar ek baar aapka phone unroot ho gaya to aapka
phone fir se stock firmware with valid warranty me aa
jayega.
To chaliye ek ek karke dono method try karte hai aur jante
hai kis tarah apni android phone even tablet ko unroot ki
posion par laye.Usse pehle aapko neeche likha note zarur
parna chahiye.
⇨⇨Note
Isse pehle ki ap apne phone ko unroot kare main advise
dunga ki aap apna pura data backup kar le kyonki unroot
karte time sara data jo bhi mobile me store hoga sab
delete (wipe out) ho jayega ,aap chahe to apne sabhi
applications,contacts,sms,calls,images,videos
,photos,audios,documents etc sabhi apni micro sd card
me save kar le yaa fir apne computer me save kar le taaki
aapko aage Mushkil na ho .Aap ye sab karne ke liye
simply Es file explorer ki help le sakte ho usse bari hi
asani se sara data aap backup kar sakte hai.
●Method #1:●
⇨ Use SuperSU App ♝
Ye ek achha method hai jo kisi bhi rooted phone ko fir se
unroot karne ka aur isme apko koi technical knowledge ki
bhi j
zarurat nhi padegi aur ap asani se apna task pura kar
sakte hai ,bas aapko neeche diye gaye steps ko sahi se
follow karna hoga.Is method ki khaas baat ye hai ki isme
aapko koi custom recovery bhi install karne ki zarurat nhi
paregi.
sabse pehle superSU app ko download kar lijiye
apne rooted device
iske baad aapko superSU app ko open karna hoga
aur uski setting me jana hoga aur iske baad full unroot par
tap karna hoga.
Iske baad aapse confirmation liya jayega ki aap
sach me mobile unroot karna chahte ho to simply continue
wali option par click kar dijiye.
Ab apke phone ko unroot karne ki process start ho
jayegi aur kuchh Time Ka baad superSU apke phone ki
unroot kar dega aur apne aap close ho jayega.
Apne device ko restart karna aur ye check karna ki
aapka phone unroot ho chuka hai ya nhi ,agar ho gaya hai
to ab simply superSU app ko uninstall kar dena.
That's it dosto try this method and i hope you will
get success.
●Method #2:●
⇨ Use Es File Explore
(Simpler But Some Technical)
Aap me se lagbhag sabhi log Es file explorer ke baare me
sun chuke honge,kyonki ye ek aisa tool hai ya kahu ye ek
aisa multi useful tool ya apps hai jiski zarurat lagbhag
sabhi logo ko parti hai,iske feature ke mamle me is app ki
koi saikh nhi kar payega.To kya jante hai ki is simple se
file manager ki help se ap apne phone ko unroot bana
sakte hai. Neche diye gaye steps follow karen aur Unroot
Karni Ki Koshish Karen.
sabse pehle apke phone me agar es explorer nhi hai
to aaj hi download kar lijiye kyonki ye bahut si jagah par
kaam aata hai
Iske baad aapko side me ek menu option dikhega
aur wanha par kafi sare option honge row vise to simply
tools wale section me jana wanha par ek option hoga root
explorer ka Feature hoga usko enable kar dena yaani on
kar dena.
Ab agar es explorer root ki permission mange to
simply grant kar dena permission aur allow kar dena use
root access karne ke liye.
Ab aapko kya karna device memory me jana hoga
yaani phone memory me (sd card me nhi jana hai ) .
Phone memory me aapko bahut se folder and files
hogi unme se aapko system wale folder par jana hai.
aur isme ek folder hoga bin ka isme jana hai.
is bin folder me aapko 2 files milengi busybox and
su ke naam se unko delete kar dena.(Agar aaapko ye
dono apps na mile to simply aage OR wala section
dekhiye.)
OR
Agar step 7 aapke mobile me kaam na kare to kya kariye
simply aapko system wale folder me ek folder dhundna
hoga jiska naa hai xbin isko open karna aur isme dekhna
busybox and su file hogi unhe delete kar dena.
8⃣⚫Ab kya karna jab aap ye dono file wanha se delete
kar de to fir se device memory me aana aur system folder
me aana aur yanha par ek folder hoga apps ka usko open
karna aur superuser.apk naam ki koi file hogi usko delete
kar dena .
👇
9⃣⚫Bas ab aap apne phone ko restart kariye aur aap
dekhenge ki aapka phone puri tarah se unroot ho chuka
hoga.
Post A Comment: