Aapne social networking site pe Hashtag wale topic ya
picture ya post ko dekha hoga, ya kabhi bhi aapne social
networking site pe hashtag ka use kiya hoga, lekin ye
# hashtag kya hai, ye kaise kaam me aata hai, isako kaise
use nahi karna chahiye ye sab bate me apko is post me
batane ja raha hu,
⇨ Hashtag Kya Hai ♝
⇨ ♝Hashtag ek tag or label hai jo social networking site
pe users ko specific topic, massage, contest, images,
opinion, event, question and answer find karne me help
karta hai, kisi bhi word ya phrase ke aage hash sign(#)
lagane se wo Hashtag ban jata hai, example like # PSL2,
# WT20 . Hashtag ko aap Facebook, Twitter, Instagram,
Google+, Tumblr, Pinterest jiasi sabhi social media site pe
use kar sakte hai,
⇨ ★Hashtag me aap alphabet aur number ko use kar
sakte hai, lekin isame aap special character ka use nahi
kar sakte hai, Hashtag kaam kaise karta hai
⇨Jab bhi aap kisi hashtag pe click karenge to us hashtag
wali sari post apko eksath dekhne ko milegi, jisase user
ko us topic pe sabhi users ka opinion janneko milega,
example – Agar aap #WT20 par click karenge to apko
twenty 20 worldcup ke related sari post eksath dekhne ko
milegi, Hashtag ki help se users ko kisibhi topic ki
information ko search karne me asani hoti hai,
●⇨ Hashtag Ko Kaise Use Kare ⇦●
Hashtag ke use se hum kisibhi post ko Zyada se Zyada
logo tak pahucha sakte hai, aur kisibhi topic pe apna
opinion share kar sakte hai, aise me hume hashtag ko
kab, kaise aur kaha use karna chahiye?
❇Business Promotion☜
Hashtag ka use aap apne business, brand, website ya blog
ko promote karne ke liye kar sakte hai, Jaiseki jab bhi aap
apne business ya blog ke related koi bhi topic pe social
media me post kare tab apke topic ke related hashtag ka
use kare, like #SEO , # Internet , # Blogging # Apple #Pepsi
⇨ Event or Contest
⇨Hashtag ka use aap kisi bhi event ya contest ko
organize karne me kare, jisase user ko usame participate
karne me asani rahe, Simply wo hashtag ka use karke
participate kar sake, aur organizer ko users ka opinion
easily mil sake, jaise ki cricket match ki event me hume
# PakvsAus # IndvPak jaise tag dekhno ko milte hai.
⇨ Campaign and Question/Answer
⇨ Hashtag ka use aap campaign ke opinion poll ya
question ke liye kar sakte hai, jisase user hashtag ka use
karke easily opinion de sake ya answer de sake, jaise ki
election ya kisi cricket match ka opinion poll jaan sakte
hai,
⇨ Top Trending topics
Social media ke top trending hashtag ka use karke aap
apna opinion de sakte hai, jisase apki post bahot Zyada
se Zyada user tak pahonch sakegi, aur aap top trending
hashtag pe click karke bahot sare users ka opinion jaan
sakte hai,
⇨ Note ♝
Hashtag ka use sentence me nahi karna chahiye jaise ki
# Pakistan # Is # My # Love aur ye ek bad manners hai aur
isase apko koi bhi benefits nahi milega, ye srif ek funny
hashtag mana jayega, Hashtag ka use srif keyword or
short name ke liye hi use karna chahiye, aur ek post me
maximum 3 se 4 hashtag se Zyada na use kare,
Post A Comment: